Poems

Bachpan

Chalo aaj main tumhe jannat ki sair karata hu,
Sb koi apni apni aankhe mund lo main tumhe bachpan ki yaado me le jaata hu,
Kya tumhe yaad h wo son pari aur wo saka la ka boom boom ka sanju,
Mogli ka jungle aur bob the builder ka wo bob ganju,
Bachpan ek aisa wakt jaha hmlog bekhauf jeete the,
Ek aisa wakt jaha hmlog 50 paise ka rasna aur 1 rs ki ganne ka juice pite the,
Wo school k bahar gole wale ki gaadi,
School me jhagra hone pe dosto k kitaabe v faadi,
Kv kv to wo school ka bag v yaad aata h jisme duniya bhar ki kitabe rkhi hoti thi,
Jisme do buttons aur bag rectangle shape me hoti thi,
Dhire dhire hm bade hue mogli se bheem pe aae,
Mr bean aur takeshis castle ne hasa hasa k sbke chakke churae,
Wo bhoot ki kahaniyon se le k science book k chapter 9 ki padhai,
Naa jaane trigonometry ne kitno bacho ki jindagi h dubaai,
Wo cricket ka trump card aur carrom ki goti,
Wo kehte h na bachpan ki yaade kv purani nhi hoti…

Shaiv Roy

Hy Myself shaiv roy, I am a passionate blogger and love to share ideas among people, I am having good experience with laravel, vue js, react, flutter and doing website and app development work from last 7 years.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button