Poems

Life Lesson

Main dikhawa nhi krta khud ki likhawat se bhid me dikhna chahta hu,
Main galtiyon ki najarandaaz nhi karta unhi galtiyon se sikhna chahta hu ,
Ajib si asmanzas aan pari is jindagi me..
Ek taraf khud ka sapna h to ek taraf ghar walo ki umid,
Kya karu kuch smjh nhi aa rha h fas gaya hu in dono k bich,
Azaad hona chahta hu lekin isi kaid se maine bahut kuch sikha h,
Chorna v nhi chahta hu kyuki isi kaid me rehte hue maine ye likha h,
Chahta hu banna ek lekhak lekin meri paristhitiyan mujhe wo banne nhi degi,
Khud ki sapne pure karne se phle maa baap ka sapna pura karna h wahi mujhe jindagi me udaan degi,
Chote se seher se hu …na samjh tu kamjor mujhe,
Mahakaal ka sr pe haath h chahe kitna v tu tod mujhe,
Main khud ko jor k frse uth jaunga jaise hindi ka main sandhi hu,
Meri ashayein aaj v jinda h fr v khud ka hi main bandhi hu….

Shaiv Roy

Hy Myself shaiv roy, I am a passionate blogger and love to share ideas among people, I am having good experience with laravel, vue js, react, flutter and doing website and app development work from last 7 years.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button